Skip to main content

sarwamangla mandir korba chhattisgarh | korba ke sarvamangla dai | सर्वमंगला माता मंदिर दुरपा कोरबा छत्‍तीसगढ़ | saravamangla temple korba

sarwamangla mandir, korba, chhattisgarh


Ma_sarvamangla_mandir_korba, मॉं_सर्वमंगला_मंदिर_कोरबा_छत्‍तीसगढ़
Ma sarwamangla mandir,korba,chhattisgarh

aaj me aapko korba jile ke ek aur khubsurat mandir ke bare me bataunga ji ha ye hai korba jile ka sabse prasidh mandir sarwamangla mata mandir yeh mandir ka nam to dosto korba aur chhattisgarh ke sabhi log jante hi hain kyonki ye mandir khubsurat aur kafi prasidh hai mandir navratri ke samay kafi crowded hota hai aur logo ki bheed yaha dekhne ko milti hai hasdev nadir ke kinare basa hua yeh mandir chhattisgarh ke logo ko ek bar to zarur aana chahiye.


सर्वमंगला माता मंदिर दुरपा कोरबा छत्‍तीसगढ़ 

सर्वमंगला_माता_मंदिर_दुरपा_कोरबा_छत्‍तीसगढ़

सर्वमंगला_माता_मंदिर_दुरपा_कोरबा_छत्‍तीसगढ़ 


is mandir ke bare me kayi kahaniya prachlit hai dosto jo yaha ke logo se sunne ko milti hai jiske bare me hum aaj janenge to dosto pahle jan lete hai ki aap kaise pahunchenge yeh mandir dosto korba jile me sthit hai jo jila mukhyalay se lagbhag 5 km duri par sath yanha se korba railway aur bus station bhi lagbhag 5 km ki duri par hai aap yanha bilaspur jile se train ya bus lekar pahunch sakte hai aur phir mandir tak bus ya auto se pahunch sakte hai .


saravamangla temple korba

Ma_sarwamangle_korba
Ma_sarwamangla_korba

yah sarvamangla mata ka khubsurat mandir dosto ma durga ko samarpit hai jab aap mandir me aate hai to aapko charo aur mandir parisar me bahut sare mandir dekhne ko milte hai sath yanha   bahut sare kabutaro ne bhi ghosla banaya hai main madir me jab aap enter karte hai to mandir ke dwar me aapko 2 sinh dekhne ko milte jo mandir me durga ma ke vahak ke rup me dikhaye gaye hai mandir ke under ma durga jo sarvangala ke nam se prasidh hai virajman hai sath hi mandir ke under diwaro par charo aor durga ma ke navratri me jo hame 9 rup dekhane ko milte hai unka ankan kiya hua hai .
mandir se bahar niklte hi hame kuch aur khubsurat mandir dekhane ko milte jinme shri yantra mandir, vateshwar hanuman mandir, kali mandir, vishnu mandir, shani mandir sath hi mandir se kuch duri ek chota sa garden bhi banaya gaya hai jo shradhaluo aur darshanarthiyo ke liye banaya gya hai taki mata ke darshan ke liye aaye shradhalu vishram kar sake agar aap yanha aaye to ye garden bhi dekhna mat bhuliyega.


korba ke sarwamangla temple ka history

hasdev_nadi_korba
hasdev_nadi_korba
shani_dev_sarwangla_korba
shani_dev_sarwangla_korba










to dosto is  mandir ka itihas bahut rochak bato se bhara hua sabse pahle yah jan lete hai ki is madir ka nirman kisne karaya tha to dosto is madir ka nirman korba ke ek purane jamidar rajeshwar dayal dwara karwaya gaya tha sath hi dosto kaha jata hai is mandir me ek purani gufa hai jo jamin ke andar se hote huye hasdev nadir ke dusri aor jati hai aur kaha jata hai purane samay me ek rani thi rani dhanraj kunwar devi jo ma sarvamgla ke darshan ke liye nadi ke us par se surang ke sahare mandir me aakar puja karti thi yeh kahani aapko yanha ke bujurgo se kafi sunne ko milegi.


My experience


mai is mandir me do bar aaya hun dosto aur har bar aur bhi zyada khubsurat lagta jiski sundarata ko aap yanha aakar hi feel kar sakte hai hasdev nadi ke kinare base is adhbhut mandir ke jitni tarif ki jaye kam hai pedo van ke beech aur hasdev nadi se fulte durpa korba ka yah ek atyant khubsurat mandir pure chhattisgarh ke maniyo me se ek hai aur ek achcha family visit destination hai aap is mandir se juda mera youtube video bhi neeche dekh sakte hai to aap jab yanha aaye apna experience hamare sath jarur share karein.



subscribe to my youtube channel for more


Comments

Popular posts from this blog

Kotmi sonar crocodile park | Kotmi sonar | कोटमी सोनार | Kotmi sonar park | Kotmi sonar ke magarmach | Kotmi sonar cg chhattisgarh

Golden island korba chhattisgarh | गोल्‍डन आईलैंड कोरबा छत्‍तीसगढ़ | कोरबा पिकनिक स्‍पॉट | korba tourist places

kosgai mandir korba | कोसगाई मंदिर कोरबा | कोसगाई मंदिर कोरबा का इतिहास | kosgai mandir korba video | kosgai mandir